निरर्थक (Nirarthak - Withouth meaning)

Sapno me na sahi sapno se door shayad kahin use mehsoos kiya hai
Wo tadapta hai,  kyunki wo mar nahi sakta,
Marna use gawara nhi,  Wo jeena chahta hai
Shayad isi liye wo,  marr marr k jeeta hai
Apno se door,  kisi kone me..
Apni tanhayeeon ke aabro me dhak kar usne apni masoomita chupa li hai
Kabhi geeton me dhun tarasta h,  Kabhi dhunn me arth
Bemani si Zindgi ke arth me anarth mehsoos karta hai
Shayad isi liye wo tadapta hai.

Puchhne ki nakam si kosis ki maine
Gehrayioon ko harr baar chune ki kosish ki maine
Par uske ankho me samaye,  uss Anshu ke baandh ko dekta hu
Toh shayad khud ko Majboot nsaan kehna v bemani lagta h.


Haar baar mushkurana,
Mushkura ke kuch alfaz keh jana use pasand h
Uski paglo wali bhasha kuch jayada hi pare h duniya se
Pr har Lafz me ek dard chupa jana
Shayad hi koi Samajh payega ye pheli uska.


Neendo k saye me,  andhera ki parchai me
Sitaro ki chamak me,  chandni se chuup kr
Har saans me uski siskiyon ki aahat mehsoos hoti h
Par uske muskaan wali hasi har baar dhik jati hai


Gairon se milna use pasand hai,  apno se darta hai wo
Apni majboot si saqsiyat k pichhe k khoklepan se ghabrata h
Wo darta hai,  darne k liye nhi par doosron ki ehmiyat k liye
Haale jawab me,  bas itna kehna "bas chal rha hai"
Bahut kuch bayan kr deti h uske chalne k raftar ko

Samjh se pare hai kyun ki wo khud sajhdar hai
Bhawanao se behtar, unke aastitv ko wo samjhta hai
Shayad isiliye wo waisa nahi jo dikhta hai
Wo aisa hai...   Sirf batten karna janta hai.
Nirarthak baatein, haqiqat se pare us jahan ki baatein
Jahan sirf wo rehta h,
Shayad isiliye wo sqs akela hai
Kyunki wo sabke paas rehta h...!!

Comments

Popular Posts