Far Away... मेरी जागती आँखों के ख्वाब !!

walking along the road towards the journey you destined for sometimes you notice that the destination you are searching was left behind and now you simply go on walking without any destination.
what did i do wrong ? I guess, I didnt but wait yes I did na lots of mistakes yet I don't have any regrets. why would I have any regret if the decisions taken by me was justified and right. if time and situation didnt favored it why i should be blamed ? aaha, I can get away with the blame but what about suffering ? someone have to face it but who?? yup, Me !! if dids are mine the suffring would be mine too.
I accept..!!


"aap chalte ja rhe ho, un raston per jo aapko lagta hai ki sahi hai ya shayad jisme aapko khushi milti hai. par ek samay aata hai jab aapki manjil pichhe chutt jati hai aur aap aage nikal jate ho. fir na aap pichhe laut sakte ho na aapke paas aage jane ki wazah bachti hai. Zindgin ka ye falsafa hai raatein gujarti nahi aur Din kat-te jaten hain.
Aakhir chaha kya tha maine, khusshi ya doosron ko khush karna? samjh me bas itna nahi aata hai ki in khushi k bich me Gum kahan se aa gya? doosron k bare me sochte sochte kab khud ko hi kho baithe pata hi nahi chala. aakhir kya hai mere paas aur kya bacha hai mere paas? kuch v toh nahi siwa akelepan aur andhere ke. ek ye Mann hai jo sona chahta hai aur ek yeh Palken hain jo band hone ka naam hi nahi leti. rattein gujarti hai neend ki talash me aur savera apne saath fir se tooti hui ummidon ko apne sang le aata hai. kisi ne shayad sach kaha hai ki sochne ki koi Haddein nahi hoti par jab haqiqat ke dharatal per har soch waqt k saath dharasayi ho baithti hain.Ummiden aapko hausla deti hai aage badhne ka, kuch karne ka, sab se judne ka aur jab un Ummidon ko aap tootte hue dekhna padta hai toh shayd hum khud ko tod dete hain. Aur fir hum ye sochne lagte hain aakhir humari galti kya thi, aisa kya gunah kiya agar kuch achha soch kuch achha karna chaha? aur ye zindgi se bas ye Uttar milta hai.."Samay Tera Bhi Aayega Ek Din' par is baat ka bharosa kaun dilayega ki Samay k saath wo log, wo khusiya, wo umr bhi saath aayega jo humse Door ho gyen hain? Shayad koi nahi !!

Zindgi aisi chalti hai. hume hi dekh lo. Achhe bhale , Haste Khelte Bande the hum aur aaj humara kya hu? Kuch bhi nahi? Kya hai mere paas..? shayad kuch bhi nahi. aur ye sab jo nahi hai.. kahan gyi sabkuch jo mera hona tha? kahan gayi wo khusoiyan jo sirf meri thi? shayad humne khud hi unhe sab me baat diya ye sochkar ki mujhse jayada un sabhi ko jayda jaroorat hain in khusiyoon ki. Socha tha main apni Ichhaon par Vijay pa li hai toh mujhe Kast v nahi hoga par main apni sabse badi Ichha to tyagna bhul hi baitha, aur wo ichha thi "Sabko Khuss Dekhna'


Haan ye sach hai main aaj hara hua Mehsoos kar rha hoon, Toota hua Mehsoos kar rha hoon. Bikhra hua mehsoos kar rha hu par fir v in rote hue Askon k saath v Labz mere Muskura rhe hain kyunki in sab me Raza sirf meri hi thi. Par har baar bhul baithta hoon. khud k irradon ko kitna bhi majboot bana doon upar wala mujhe Tod kar hi rhega kyunki Dharti usne insaano k liye banayi hai, koi mujh jaise agar bhagwan ban gyen toh Kehar aa jayega.



Khai kuch jayda hi likh diya maine aaj..bematal si battein,Bemani si battein, Betuki se battein..sirf batein aur kuch nahi. 
Main toh bas ek hi baat janta hoon..Mujhe Badhna hai, Mujhe aage badhte jana hai un manjiloon ki aur jo main nahi janta, sayad wo manjile hoti bhi na par main chalta jaoonga, rasston me har ek ko khuss karta jaoonga. main Tootonga, Main gironga, Main Rouonga, Main Chikhoonga, Main chilaaonga, har darad main sahoonga ;par fir bhi main aage badhna nahi choodunga, Main khud ko nahi badloonga..chahe khuchh bhi ho jaye.

jate Jate khud ke liye bas itna hi kehna chahoonga..

"Agar Aapke Saath Kuchh Achha Nahi ho raha Hai toh iska Matlab Hai Ki aap wo Saqs hain jo Doosron ki Zindgi me Achhe karte ho"


मेरी जागती आँखों के ख्वाब !
ये ऐसे हादसे है, जिनका कोई गवाह नहीं ।
जीवन का एक और अध्याय आज समाप्त होने को है।
" Häppïêst Løsėř "

Comments

  1. Bhai dil se loot liyaa mughee sucess ke pass ab tu nahi wo aayee gee jhak mara ke kuki to waha tak ka rastaa paa gaya ........... lu bro

    ReplyDelete
  2. Bhai dil se loot liyaa mughee sucess ke pass ab tu nahi wo aayee gee jhak mara ke kuki to waha tak ka rastaa paa gaya ........... lu bro

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts